Mera Muqaddar Turn Nhi sad shayri



Mujhe Maloom Hai Mera Muqaddar Turn Nhi Lekin,
Meri Taqdeer Se Chhup Kar Mujhe ek Baar Mil Jaao .

★★★★★

Naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e-tehrir ka ?
Kaghazi hai payrahan har peykar-e-tasveer ka..

★★★★★

Kahan Dhoondte Ho Turn Ishq Ko Ae-Bekhabar
Ye Khud Hi Dhoond Leta Hai Jise Barbaad Karna Ho..

★★★★★

Naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e-tehrir ka ?
Kaghazi hai payrahan har peykar-e-tasveer ka..

★★★★★

दश्त था, सेहरा था, तन्हाई थी, वीरानी थी…
अपने ही अपने नही थे…बस यही हैरानी थी …

 ★★★★★

Dasht Tha, Sehra Tha, Tanhaai Thi, Viraani Thi…
Apne He Apne Nahi The…Bus Yahi Hairaani Thi…

★★★★★

Abhi aankhon ki shamyen jal rahi hain Pyar zinda hai,
abhi mayoos mat hona abhi Beemar zinda hai !

★★★★★

hazaron zakhm khakar bhi mai dushman ke Muqabil hun,
khuda ka shukr hai ab tak dile Khuddar zinda hai !!

★★★★★

Teri furqat ka gham dil se lagaye phir raha hon mein,
Lutaa dala hai mene apna sab kuch teri chahat pe,
Fakat apni anaa baaki bachaye phir raha hoon mein,

★★★★★

Teri tasveer, tere khat, teri har ik nishani,
Abhi tak apne seeney se lagaye phir raha hoon mein,

★★★★★

Nazar teri kisi din to parre gi mujh pe ae zalim,
Tamasha is liye khud ko banaye phir raha hoon mein,

Bhuja sakta nahin koi hawaye-tund ka jhonka,
Diye aese wafaa ke jalaye phir raha hoon mein,

Urooj ankhain meri pur’nam hain jis ki bewafayi per,
Usi ke khawb ankhon mein basaye phir raha hoon mein…

Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?

Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?

Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?

★★★★★

Chahay tu kaam main la, Chahe nikama karde,
Main tera hoon, teri marzi mujhr jesa karde,

★★★★★

Tera bemar hoon azloon say, Na mar jaon kahin,
Ek nazar dekh lay mujh ko mujhe acha karde,

★★★★★

Tujh se bas itni he khuwahish mere malik ki hai,
Us ke dil ko main Lubhaa loon mujhe aesa karde,

★★★★★

Jo tera ho ga zamanay se wo kat jaye ga,
Tu to jis shaks ko chahe usey tanha karde,

Aesa noor ayee ke dunia mera chehra dekhe,
Tu jo palkon ka mere Chehray pay saya karde,

★★★★★

Wo khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai,
Us se kehna k mujhay ishq main Ruswa karde,

★★★★★

Mujh ko deta hay wo izat, yeh karam hai uska,
Tere bas main ho agar tu mujhay Ruswa karde..

★★★★★

Comments

Popular posts from this blog

Indian army shayri

Happy Independence day shayri